Sunday, August 5, 2018

BOND BOND PANI KE LIYE MARENGE LOG KASH KARKE IN STATE ME KAM HONGE PANI. AKHIR KYA HAI WAJAH?

No comments :

nangal bhakra dam എന്നതിനുള്ള ചിത്രം

TODAY NEWS-

BOND BOND PANI KE LIYE MARENGE LOG KASH KARKE IN STATE ME KAM HONGE PANI. AKHIR KYA HAI WAJAH?

Abhi se ho jaye savdhan varna apko bhi pad skta hai bond pani ke liye marna. akhir kya hai wajah akhir kyu aa rahi hai in state me pani ki kami jis se  log pani ke liye marenge..

namskar dosto mera naam hai om verma or main ap sabka sawagat karta hu apne today news blog me. latest news ki jankari ye liye hmre is blog ko jayada se jayada share kare..
water pollution എന്നതിനുള്ള ചിത്രം

Dosto ap sabko ye to pata he hai ki jaal he jiwan hai insaan khana ke bina kuch to jee skta hai par pani ke bina sayad insaan jee nahi skta or pani ki jarurat har kisi ko hai pani hmre roj ke kaam me bhi use kiye jate hai. pani iske ilawa or bahut si cheeze par use kiye jate hai..
par kuch saalo me pani ki kami hoti jaa rahi hai hmre desh me kuch he parcent he pani pine ka layak hai or baki paani pollution  se bhara pada hai. jo paani hum pee bhi nahi skte hai.
             dosto aaj jo pani ki kaami aayi hai uska zimedar bhi hum he log humari galtiya karke he aaj hum paani ke tras rahe hai. sayad kuch time baad to hume to pani pine ke liye bhi na mile.

{ AGLE SAAL SE PUNJAB,HARYANA OR RAJSTHAN KE LOGO KO PAANI KI KAAMI KA SAMNA BHI KARNA PAD SKTA HAI. KYUKI BHAKRA NANGAL DAM ME PAANI KI KAAMI HONE KE KARN YE HALAT  PAIDA HO GYA HAI}

nangal bhakra dam എന്നതിനുള്ള ചിത്രം

TODAY NEWS-
dosto abhi bhi time hai abhi se savdhan ho jayiye in 3 state me paani ki kami ki samna karna pad skta hai. agale saal punjab, haryana or rajhstan jaise state ke logo ko paani ki kami ka samna karna pad skta hai. iska karn hai bhakra dam me bahut teji se paani ki kami hona. bhakra me jarurat mutabik paani jaama na hona. isi wajah se bhakra ke jariye chode jaane wala paani me bahut se state me kaami ki kaami aa rahi hai.

BBMB KI SAVDHANI DENE KE BAAD PUNJAB, HARYANA OR RAJSTHAN KE PRINCIPAL SECTARY KI AAPAT BAITHAK BAITHYA GAYA..

nangal bhakra dam എന്നതിനുള്ള ചിത്രം

Bhakra ke managment board BBMB ne punjab, haryana or rajsthan ke govt. ne savdhan ki hai ki yedi pong or bhakra dam me paani or jama na huya to sept.2018 se lekar may 2019 tak ke payjal or kheti ke bada muskil paida ho skta hai.
        is time pe 3 state as. mang 43 thousand cusiq hogi. jab ki bbmb kewal 17700quisic he chod payega halaka bijali par koi asar nahi hoga. lekin aane wale time pe bijali me muskil aa skti hai.
nangal bhakra dam എന്നതിനുള്ള ചിത്രം

PUNJAB NE BBMB SE LONG TRUM STUDY KARWANE KI MANG UTHAYI..
BBMB ke chairman bk sharma ne 3 state punjab, haryana or rajsthan ke principal sectray ki baithak bulaya unke saari problems bataya. is par punjab ke principal sectary jaspal singh ne btaya ki punjab ke farmer ilake ne sabhi kisan se kami pani ka priyog krne ko kahenge. or hum apni mang ke anusar 50% he pani le rahe hai.

   unhe paani me kaami aa rahi muskil ko dekhte unhone kaha ki bbmb ko study karni chahiye jo ki pata chal ske ki catchmate area me barish kitni ho rahi or ice pigle me kitna pani bhakra tak pahuch raha hai. jo ki data ke adhar par long trum tyaari ki ja ske board ki meeting me is baat ko maan liya gaya.


bhakra nangal dam me paani pichle saal ke mulable 62ft. pong ka 41ft. or ranjeet sagar dam ka 13m. ft. kam hai. bbmb ne apna sujaw diya ki jis hisab se barish ho rahi hai. us se bhakra ka paani bhut muskil se 1600 ft. or pong 1340ft. ho payega. board ki meeting me haryana ke chief engneer or rajsthan ke principal sectray bhi waha the. bbmb ka kehna hai ki state apne me ho rahi barish ka paani ka use jayada kare or daam ke paani ke upper jayada depend na rahe.unka kehna hai ki paani ki  uskil samna kab tak karna pd sakta hai iska abhi tak kuch nahi keh skte.

nangal bhakra dam എന്നതിനുള്ള ചിത്രം

pichle ek week se bhakra ka infilow bhi pichle saal ke hissab se bahut kam chal raha hai. pichle saal is time me 79 thousand quisik pani thi. jo is saal 35502 qusick aa raha hai.pong ka haal is se bhi jayada bura haal hai. pichle saal ek lakhs qusick se jayada pani aa raha tha. jo is saal sirf 15966 he reh gaya hai.....


agar aap logo ko humara ye news acha laga ho to please comment or share karna bhule
                                                                                                                                                  thank you,
                                                                                                                                              today news,

No comments :

Post a Comment